Assalam o Alaikum Nazreen!
Umeed hai aap sab khairiyat se honge.
Yeh post hamari pichhli post “Jin, Jadoo, Shaitaan aur Subconscious Energy Ka Raaz“ ka tasalsul hai.
Aap se guzarish hai ke pehle woh post zarur parhein taake aaj ki guftagu ko behtar andaz mein samajh sakein.
Yeh post is series ka aakhri aur khulasa hissa hai, aur aaj hum is baat ko mukammal karein ge ke:
🔍 Pichhli Post ka Khulasa:
Hum ne Qur’an aur science dono ki roshni mein yeh baat wazeh ki ke:
Insaan ke khayalat, soch aur gumaan —
sirf zehni tasawurat nahi hotay, balkay woh energy peda kartay hain.
Yeh energy positive bhi ho sakti hai aur negative bhi,
aur yeh energy hi hamari zindagi, faislay, ravayye aur mahaul par gahra asar daalti hai.
🧠 Ab Baat Karte Hain: “Jinn, Jadoo, Shaitaan, Iblees” Ki:
Hum ne bataya ke:
Yeh mafahim agarche Qur’an mein bayan kiye gaye hain,
magar hamare muashray mein in ke mutaliq jo khud saakhta aur khayaali tasawurat paaye jaate hain —
woh darasal hamare la-sha’oor ki peda karda energy se ek “haqiqat” ki shakal ikhtiyar kar chuke hain.
Insaan khauf, yaqeen aur tawajju ke zariye in tasawurat ko energy mein badal deta hai,
aur wohi energy phir ya to us ke khilaf kaam karti hai ya us ke haq mein.
🔬 Aaj Hum Samjhayenge:
- Amliyat aur Taweezat kaise kaam karte hain?
- In ke peechay science aur logic kya hai?
Yeh tamaam cheezein — Jinn, Jadoo, Shaitaan, Iblees —
kaise hamare la-sha’oor mein ek energy ki soorat mein pehle se mojood hoti hain?
Aap kaise:
- In manfi energies ko pehchaan saktay hain?
- In par qaabu pa kar zindagi mein positive nataij hasil kar saktay hain?
- Aur apne la-sha’oor ko taqat ka zariya bana saktay hain, kamzori ka nahi?
✅ Maqsad:
❝ Hamara maqsad yeh hai ke aap in cheezon ka sha’oor hasil karein —
taake jo cheezein pehle aap ko dara rahi thin,
ab wohi aap ki roohani, zehni aur amli taqat ban sakein. ❞
🔉 Ab Hum Batayenge: Awaaz Ki Energy Kya Hoti Hai?
Pehli post mein hum ne insaan ke la-sha’oor mein paida hone wale khayal, soch, gumaan ki energy sabit ki hai,
ab hum yeh batate hain ke awaaz bhi energy hoti hai.
Ji haan, science is baat ki tasdeeq karti hai ke insaan ki awaaz se waqai energy paida hoti hai —
aur yeh baat sirf allegory ya spiritual nahi balkay physical, mechanical aur biological satah par bhi such hai.
Aaiye Isay Mukhtalif Scientific Zawiyon Se Samajhte Hain:
🔊 1. Awaaz Ek Vibration Hai
Awaaz asal mein mechanical waves hoti hain, jo hawa, pani ya kisi bhi medium mein harkat karti hain.
Jab insaan bolta hai, to us ki awaaz fiza mein irt’ashaash (vibration) peda karti hai.
Yeh irt’ashaash ek qisam ki mechanical energy hai, jo ashya ko harkat mein la sakti hai.
📌 Misaal:
- Buland awaaz mein bolne se glass ka kampkana
- Sound speaker mein awaaz se pani ka uchalna
- Baaz tajribat mein awaaz se mitti ya rait ki ashkaal (Cymatics) paida hona
⚡ 2. Sound Energy Ka Scientific Istemaal
- Ultrasound Waves:
Awaaz ki taqat ko tibbi maqasid ke liye istemaal kiya jata hai — jaise pathri torhne ya androni jismani structures dekhne ke liye. - Sonic Weapons:
Kuch mumalik mein awaaz ko hathiyar ke tor par bhi istemaal kiya ja raha hai —
taake dushman ko chakkar, dard, ya behoshi mein mubtala kiya ja sake.
🧠 3. Awaaz Ka Insani Dimagh aur Jism Par Asar
Scientific research ke mutabiq:
- Awaaz insani dimagh ki brainwaves ko asar انداز کرتی ہے
- Qur’an ki tilawat, mantra ya dua mukhasas zehni halat (Alpha, Theta state) peda kar sakti hai
- Kuch mukhasas alfaaz (jaise “Love”, “Peace”) ke dohraao se Oxytocin aur Serotonin jaise khushi ke chemicals paida hote hain
🔄 Khulasa:
✅ Science is baat ko mukammal tasleem karti hai ke insaan ki awaaz ek qisam ki energy hai
Jo sirf mahaul nahi, balkay doosron ke jazbaat, dimagh aur jismani halat par bhi asar انداز karti hai
🎯 Unwan: Amliyat, Taweezat Aur Mantr Kaise Kaam Karte Hain?
✳️ Amliyat Aur Taweezat Asal Mein Kaise Kaam Karte Hain?
Yeh yaad rakhein:
❝ Koi bhi amal ya taweez — sirf alfaaz ya kagaz ka tukra hota hai.
Woh khud se koi taqat nahi rakhta, jab tak ke…
insaan ki awaaz, yaqeen aur khayal ki energy us mein shamil na ho jaye. ❞
🔊 1. Mantra Kaise Asar Karta Hai?
Farz karein aap ke paas ek mantra likha hua hai —
ab woh kaise kaam karega?
Jab aap usay apni awaaz se parhtay hain…
aur padhte waqt aap ke andar yeh yaqeen hota hai ke:
- Yeh mantra bohot taqatwar hai
- Yeh 100% kaam karta hai
- Is ka asar abhi ho raha hai (present tense)
Yani:
✅ Positive soch, mukammal yaqeen, aur niyyat ke saath jab awaaz nikalti hai,
to woh energy peda karti hai —
aur woh energy ya to aap ki zindagi mein asar انداز hoti hai,
ya jahan aap tawajju kar rahe hain, wahan ja kar asar karti hai.
❌ Agar aap ke dil mein shak, manfi khayal ya khauf aa jaye ke:
- Shayad yeh mantra kaam na kare,
- Ya kahin yeh be-asar hai…
To samajh lein ke is mantra ki energy kamzor ya khatam ho jati hai.
La-sha’oor sirf usi cheez ko taqat deta hai jis par yaqeen kaamil ho.
🧾 2. Taweezat Kaise Kaam Karte Hain?
Taweez agar kahin se likha hua mil jaye,
to woh tab tak sirf ek kagaz ka tukra hai, jab tak ke:
- Aap rozana us ko dekh kar, parh kar
- Wohi yaqeen, niyyat aur positive energy peda na karein
Aap ka yaqeen, aap ki soch, aur aap ki awaaz
us taweez ko wasila bana deti hai —
jahan se andar ki energy bahar zahir hone lagti hai.
🌀 Khulasa:
❝ Mantra, amliyat aur taweezat — wasila (medium) hain,
In ka asal faida tab hi hai jab aap:
- Apne la-sha’oor mein in ke mutaliq mazboot positive tasawur rakhte hain
- Inhein yaqeen, jazbe aur dihaan se dohrate hain
- Aur paida hone wali energy ko shu’oori tor par istemaal karte hain ❞
Yani:
💡 “Alfaaz + Awaaz + Yaqeen + La-sha’oori Tasawur = Taqatwar Energy”
✳️ Ab Baat Karte Hain: “Jinn, Jadoo, Shaitaan: Hamare Yaqeen Aur La-sha’oor Ki Takhleeq”
Jinn, jadoo, shaitaan ke mutaliq — in mein bhi wahi logic istemaal hoti hai jo hum ne pehle bayan ki:
❝ Jo tasawurat hamare muashray mein qissa kahaniyon, riwayat, aur tareekh ke zariye
nasal dar nasal chalte aa rahe hain,
hum unhein apne yaqeen, soch aur alfaaz ki taqat se
energy de detay hain —
aur yeh hi energy aakhirkar hum par asar انداز hone lagti hai. ❞
🧪 Aaiye Ek Tajurba Kar Ke Dekhte Hain:
Aap khud karein, ya kisi ko yeh amal karne ko kahe:
🔁 Step-by-step:
- Jinnat se mutaliq qissa kahaniyaan parhna shuru karein
- Jinnat par bani videos, clips, films dekhna shuru karein
- Din raat sirf inhi baaton ka zikar karein
- Zehan mein musalsal in ka tasawur karte rahein —
ke koi jinn aap ke aas paas hai, nazar aa raha hai, baat kar raha hai…
⚡ Natija Kya Hoga?
Kuch hi dino baad:
- Aap ko kisi ki maujoodgi mehsoos hone lagegi
- Awaazain sunai dene lagen gi
- Khawab mein koi saya ya mojoodgi aani shuru ho jaye gi
- Dil mein khauf, dar, bechaini paida hone lagegi
- Yun lagega jese koi saath hai — koi jinn, koi saya
🧠 Kyun Hota Hai Aisa?
❝ Kyun ke aap ne apne alfaaz, tawajju, khayaal aur yaqeen se
apne la-sha’oor mein jinnat ka ek energy field bana diya —
aur la-sha’oor hamesha **yaqeen ko haqeeqat mein dhalta hai۔ ❞
Yani:
💥 Tawajju + Takraar + Yaqeen = Energy = Asar
Note:
Yahan bata doon ke Qur’ani jinn ka tasawur bilkul mukhtalif hai
aur hum insano ka khud saakhta tasawur bilkul mukhtalif hai.
Kyun ke mera mauzoo Qur’an nahi, warna main daleel se batata ke Qur’an mein jinn, sehr, shaitaan, iblees ka zikr kya hai.
Mera mauzoo un se mutaliq jo muashray mein raaij tasawurat haqeeqat ban gaye hain
us energy par baat karna hai ke aap ki zindagiyon mein is ke asraat zahir ho rahe hain
aur kaise hum in ko control kar ke kaam le sakte hain
aur amliyat, taweezat kaise kaam karte hain.
Isi tarah muashray mein raaij
shaitaan, jadoo jo bola jata hai, jo mantra, tantra, tona totka se joda jata hai
to is ke peeche bhi wahi logic, wahi science hai jo pehle bata chuke hain
usi tareeqay par woh chal raha hai, kaam kar raha hai۔
Aap dono posts mukammal parh kar ghor karein,
hum ne kuliya, formula, science, logic “Jinn, Jadoo, Shaitaan, Amliyat, Taweezat” ke peeche kaam karne ka bata diya hai
aur yeh sab kuch pehle se hum kar rahe hain,
hamari zindagi mein is ke asraat zahir hain
magar hum bekhabar hain, la-ilm hain yeh kaise ho raha hai —
aur ab hum ne bata diya hai ke yeh kaise aur kyun ho raha hai
aur is ko khud se control kar ke kaise kaam liya ja sakta hai — sab wazeh hai.
Leave a Reply