Online Aamil ki tasdeeq kaise karein?

Asal Aamil Ki Pehchan Kaise Karen | Amliyat Guide

Assalam o Alaikum Nazreen e Karam!

Umeed hai ke aap sab khairiyat se honge. Aaj ki post bohat hi ahem hai — “Asal Aamil ki Pehchan Kaise Karen?”


Har Koi Aamil Kyun Ban Gaya Hai?

Jaise ke hum sab jaante hain ke aaj kal ke dor mein har koi aamil honay ka da’wa kar raha hota hai, aur in mein se aksar jhoot, dhoka aur fareb par mabni hotay hain.

Aap mein se bhi kai logon ke saath dhoka ho chuka hoga aur aap aksar humein batate rehte hain ke falan aamil ne dhoka diya, falan se kaam karwaya lekin koi result nahi mila. Ab to aap ka yakeen hi uth gaya hai.


Jali Doctor Ki Misal – Sochne Ka Andaz Badliyein

Sabse pehle to yeh baat samajh lein:

Agar aap bimar hain aur kisi doctor ke paas jaate hain, lekin wo jali (naqli) doctor nikalta hai — phir aap doosray ke paas jaate hain wo bhi jali doctor nikalta hai — to kya aap is ke baad apna ilaaj karwana chor denge?

Bilkul nahi!

Balki aap ek ache, mustanad aur asli doctor ki talaash karenge. Lekin pehle aapko yeh maloom hona chahiye ke asli doctor ki pehchan kaise hoti hai?


Aamil Ki Pehchan – Sirf Da’wa Kaafi Nahi

Ab agar hum amliyat ki duniya ki baat karein:

Agar aap kisi aamil se apne masail ka hal karwane ke liye raabta karte hain, to uski sachai aur guarantee ka pata kaise chalega?

Aap kisi doctor ke paas jaate hain to uski degree, taleem aur qabliyat ka saboot check karte hain, uski tasdeeq karte hain ke yeh asal hai ya naqaal?

Agar koi shakhs shaair hone ka da’wa kare, to uski shaairi ya kitaabein parh kar hi pata chalega ke asal mein wo shaair hai ya nahi.

Yaani sirf zabaani da’wa kafi nahi hota, jab tak koi kaam, certificate ya asar saabit na ho.


Amliyat Mein Tasdeeq Ka Tareeqa

Amliyat ke shobay ki koi official degree ya sanad nahi hoti — yeh seena ba seena aane wala ilm hai. Is mein agar koi aamil honay ka da’wa kare to uska kaam dekha jaata hai.

Agar aap kisi online aamil se raabta karte hain to:

  • Kya uski post mojood hai?
  • Kya uska koi ilm dikhai deta hai?
  • Kya uske paas jinat, amliyat, ya taweezat se mutaliq maloomat hain?

Yahi cheezein uski tasdeeq hain.


Zabaani Da’wa Ya Asliyat? Aap Khud Faisla Karein

Aap yaqeen karein jitnay bhi log hum se raabta kar ke batate hain ke kisi aamil ne dhoka diya hai — jab hum wo check karte hain to sab sirf:

  • Zabaani da’wa
  • Ishtihari slogans
  • Barray barray da’way

Lekin:

  • Koi post nahi
  • Koi website nahi
  • Koi ilm nahi

Sirf “Main aamil jin hoon, aamil humzaad hoon, moakil laata hoon” kehna bohat asaan hai — lekin jinat, taweezat aur amliyat se mutaliq ilm ka saboot koi nahi hota.


“Saaray Aamil Aik Jaisay Hain” – Ghalat Soch!

Aap log aisay logon ke haathon dhoka khaa kar kehte hain:

“Saaray aamil aik jaisay hain”

Yeh soch galat hai!


Hamari Tasdeeq – Hamara Kaam Hai

Ab agar humari baat karein:

  • Hum ne amliyat, jinat, taweezat, aur sihr ka da’wa kiya hai.
  • Aap humari posts dekhein, hamari website par jaa kar parhein, videos dekhein

Kya hum ne:

  • Jinat, jadoo, shaitani ilm, amliyat se mutaliq sahi maloomat di hain ya nahi?
  • Kya hum ne yeh bataya ke amal kaam kyun karta hai ya nahi karta?
  • Kya hum ne sirf kitaabi maloomat nahi, balki tajarbat aur wazahat ke sath bataya hai?

Aap khud tasdeeq kar lein — agar yeh sab milta hai to samajh lein ke humara da’wa sacha hai.


Aksar Online Aamileen Mukammal Nahi Hote

Afsos to yeh hai ke log jin online aamileen se rabta karte hain, unka ilm hi mukammal nahi hota.

Un ki:

  • Videos dekhein
  • Websites check karein

Kya kahin aapko asal ilm milta hai?
Nahi milega!

Sirf amliyat copy ki hoti hain — lekin yeh nahi batate ke:

  • Amal kaam kyun karega?
  • Kaise karega?
  • Kaun si conditions zaroori hain?

Post Ka Maqsad – Aap Ko Sach Dikhana

Yeh post likhne ka maqsad yahi hai:

Aap ko batana ke online kisi aamil ki sachai aur guarantee kaise maloom karni hai?


Hamara Challenge – Pura Internet Check Kar Lein

Ab hamara challenge hai:

Pura internet check kar lein
Koi ek bhi aamil ya channel dikhayein jinhon ne:

  • Jin
  • Jadoo
  • Shaitani asraat
  • Amliyat
  • Taweezat

se mutaliq mukammal aur sahi maloomat di ho — wo bhi silsile war tor par.

Aapko aik bhi nahi milega.

Zyada se zyada sirf nuskha kaari milegi — asal ilm aur tajurbaat nahi.

Jinn, Jadoo aur Taweezat Ka Asal Raaz


Ilm Ka Samundar – Sirf Shuruaat Hai

Lekin hum ne bataya hai:

  • Kaamiyab amliyat ka raaz
  • Energy ka asar
  • Yaqeen ka amal
  • Subconscious mind ka ta’alluq
  • Aur wo sab kuch jo books se nahi, balki zindagi ke tajarbat se hasil hua hai

Aur yeh to sirf shuruaat hai — hamare paas ilm ka samundar hai jo abhi hum aap tak lana shuru kar rahe hain — In shaa Allah!


Aakhri Paighaam – Tasdeeq Khud Kar Lein

Aap sirf hamari sari posts aur content dekhein — tasdeeq khud ho jaayegi.
Hamari sachai aur guarantee, hamara kaam hai!


Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *