Jadoo Kaise Hota Hai?
Jadoo Farsi zaban ka lafz hai jiske maani hain: mantr, tona, amal jiska asar to ho lekin wajah samajh mein na aaye; koi ajeeb baat jo khilaf-e-aqal ho; shobda baazi, herat mein daal dene wala khel ya kartab.
Qur’an ka jo “Sehr” yaani jadoo hai woh Shaytani hai, lekin yahan hum uss taraf nahi jaa rahe. Hum baat kar rahe hain uss jadoo, mantr, tona amal waghera ki jo muashray mein raij hain.
Yeh jadoo jo ke kahaniyon, tareekhi riwayaton, aur amliyat ki kitaabon mein milta hai, insano ne apne yaqeen o khayalaat ki energy se ise ek haqiqat bana diya hai. Logon ke zehan mein sawaal hota hai ke yeh jadoo kaise hota hai? Isay karne ka tareeqa kya hai?
To aaj ki post mein hum isi mauzoo par tafseel se baat kar rahe hain.
Sabse pehle samajh lein:
Insan ke yaqeen, khayalaat, aur awaaz ki apni energy hoti hai, aur yeh energy uski zindagi aur uske ird gird ke mahaul par asar daalti hai.
Hum is pehle bhi ek post “Jin, Jadoo, Shaitaan aur Subconscious Energy Ka Raaz“ mein baat kar chuke hain jahan Qur’an aur science dono se isey sabit kiya gaya hai.
Jadoo Ka Asar Kaise Hota Hai?
Jadoo mein mantr (chant), taweez, mitti ka putla, moorti, haddi, khopdi waghera istemal ki jati hain. Ab yeh sab cheezein bejaan hoti hain — in mein koi asar nahi hota.
Jaise ke mantr sirf alfaaz hain, jab tak aap in alfaaz ko apni zaban se adaa karke apne andar ke la-shu’oor (subconscious mind) mein maujood tasawwurat, yaqeen, aur khayalaat ki energy nahi dete, tab tak yeh mantr beasar hain.
Isi tarah mitti ka putla, moorti, haddi ya khopdi sab bejaan hain — jab tak aap apne la-shu’oor mein unse mutaaliq jo tasawwuraat aur yaqeen hain, unki negative energy in cheezon mein na daalain, yeh kuch nahi karte.
Yeh sari cheezein sirf “medium” hain — yaani zariya hain — jinke zariye aap apne andar ke yaqeen aur tasawwuraat ki energy ko bahar nikal kar kisi muqarrar maqsad ke liye istimaal karte hain.
To yeh Jinn, Jadoo aur Taweezat Ka Asal Raaz ka amal asal mein aapke andar maujood energy ka bahar nikalna hai, aur isey kisi maksad ke liye istemal karna hai.
Yeh Jadoo Ki Science Hai
Chahe koi jadoogar khud is “science” ko samjhta ho ya na ho, asal mein pichlay pechay yeh system hi kaam kar raha hota hai.
Jadoogar Kaise Banta Hai?
Jadoo seekhne ke liye sabse pehle insan ko apne nafs/nafsiyat par control karna padta hai:
- quwwat-e-irada (willpower)
- irtikaaz-e-tawajju (focus)
- yaksui (single-mindedness)
Jab koi shakhs lagataar saalon tak mantr, taweez, mitti ka putla, moorti, haddi, khopdi waghera ka istimaal karta rehta hai, to uska la-shu’oor in cheezon ko “yaqeen aur tasawwur” ke sath link kar deta hai.
Jitni baar woh ye amal karta hai, utni hi zyada energy paida hoti hai. Dheere dheere woh shakhs itna powerful ho jata hai ke woh doosre logon ya cheezon par asar daal sakta hai.
Is energy ke zakhire ko log “jin”, “shaitaan”, ya “asraat” ka naam dete hain — lekin asal mein yeh sab uske la-shu’oor ki paida karda manfi (negative) energies hoti hain.
Aise Jadoogar Khatarnak Kyu Hote Hain?
Yeh manfi energies sabse pehle us jadoogar ke apne ird gird ke mahaul par asar daalti hain.
Isi wajah se asli jadoogar hamesha abaadi se door, jungle mein milta hai. Us ke aas paas rehna mushkil hota hai.
Yeh hum un jadoogaron ki baat kar rahe hain jo apni zindagi ka maqsad hi jadoo, shaitani duniya ko bana lete hain.
Warna chhoti level ke jadoogar shehron mein bhi mil jate hain jo kamzor tareeqon se yeh kaam karte hain.
Kya Har Shakhs Jadoogar Ban Sakta Hai?
Ji haan, har woh shakhs jadoogar ban sakta hai jo apne la-shu’oor mein bachpan se maujood society ke banaye hue:
- jin
- shaitaan
- jadoo
- asraat
… ke tasawwuraat aur yaqeen rakhta hai.
Agar yeh tasawwuraat aur yaqeen mazboot hon, to woh shakhs bhi mantr, taweez, moorti, haddi, waghera ko zariya bana kar unhe negative energy se taqatwar bana sakta hai — aur asar daal sakta hai.
Is Negative Energy Ko Kaise Control Kiya Jaye?
Yeh sab hasil karne ke liye shakhs ko apne nafs/nafsiyat par control hasil karna hota hai. Jese:
- quwwat-e-irada
- tawajju
- yaksui
- yaqeen-e-kaamil
Yeh sab aapko “mashq-e-nuqta beeni”, “mashq-e-habs-e-dam”, “mashq-e-shama beeni”, “mashq-e-aaina beeni”, “mashq-e-sooraj beeni” se hasil ho sakta hai.
Kya Jadoo Ya Negative Energies Nuqsaan Pahunchati Hain?
Ji haan — bilkul!
Inka ta’alluq seedha aapke la-shu’oor se hota hai.
Agar aapke andar manfi soch aur yaqeen ki energy mojood hai, to woh sirf aapko hi nahi — aapke aas paas ke logon aur mahaul ko bhi nuqsaan pohcha sakti hai.
Pehle wali post mein yeh sab sabit kiya gaya hai.
Aakhirat aur roohaniat ke pehlu ko samajhne ke liye zaroori hai ke hum jadoo aur iski asal asar-e-taariqi ko sirf dar aur afwah ka nateeja na samjhein, balkeh iske peeche jo science aur human psychology ka kirdar hai, usay samjhein.
❓ FAQs: Jadoo Kaise Hota Hai?
🔹 Q1: Kya jadoo asal mein hota hai?
A: Ji haan, jadoo asal mein hota hai — lekin iska ta’alluq sirf mantr, taweez ya kuch objects se nahi hota. Asal mein, jadoo insani la-shu’oor (subconscious mind), yaqeen, aur khayalaat ki energy se kaam karta hai. Ye energy negative bhi ho sakti hai aur positive bhi.
🔹 Q2: Jadoo karne wale log kis energy ka use karte hain?
A: Jadoo karne wale log zyada tar manfi (negative) energy ka use karte hain jo unke la-shu’oor mein bachepan se majood yaqeen, khayalat aur tasawwuraat se generate hoti hai. Yeh energy jin, shaytaan, ya asraat ke naam se jaani jaati hai.
🔹 Q3: Kya har shakhs jadoo seekh sakta hai?
A: Agar kisi shakhs ke la-shu’oor mein jadoo, jin, ya shaytani tasawwuraat aur yaqeen gehra ho, to woh shakhs bhi jadoo seekh sakta hai — lekin iske liye quwwat-e-irada, tawajju aur yaksui zaroori hai. Iske liye ruhaani mashqaat ki zarurat hoti hai jaise mashq-e-nuqta beeni waghera.
🔹 Q4: Jadoo ka asar kaise hota hai?
A: Jadoo ka asar insani zehan aur uske ird gird ke mahaul par hota hai. Mantr, taweez, ya moorti sirf zariya (medium) hote hain — asal kaam aapke yaqeen aur energy ka hota hai jo aap in mediums ke zariye project karte hain.
🔹 Q5: Kya jadoo se nuqsan ho sakta hai?
A: Ji haan, jadoo se nuqsan ho sakta hai — khaaskar agar woh manfi energy par mabni ho. Yeh aapke zehan, jism, aur roohani halat par asar daalti hai, aur aapke ghar ke mahaul ko bhi mutasir kar sakti hai.
🔹 Q6: Jadoo se bachne ka tareeqa kya hai?
A: Jadoo se bachne ka behtareen tareeqa hai:
- Allah par yaqeen
- Roohani ta’aweezat ya Qur’ani wazaif
- Positive energy ka creation
- Apne la-shu’oor ko positive tasawwuraat se bharna
- Surat Al-Falaq, Surat An-Naas, Ayat al-Kursi ka rozana tilawat karna
🔹 Q7: Kya jadoo karna gunah hai?
A: Islami point of view se jadoo karna ya kisi par jadoo karwana kabira gunaah hai. Ye amal Allah se shirk ke qareeb le jata hai aur roohani tor par tabahi laata hai. Har shakhs ko is se bachna chahiye.
🔹 Q8: Jadoo ka ilaj possible hai?
A: Ji haan, jadoo ka ilaj Qur’an, roohani amliyat, aur energy cleansing techniques ke zariye mumkin hai. Wazifa, dam, aur taweezat se logon ko bohot behtari milti hai — lekin asli taqat yaqeen aur positive energy mein hoti hai.
🔹 Q9: Kya jadoo sirf insano ko hi hota hai?
A: Nahi, jadoo sirf insaan par hi nahi, balke uske ghar, dukaan, rishtay, aur business par bhi asar daal sakta hai. Negative energy kisi bhi object ya jagah ko target kar sakti hai.
Leave a Reply